SHAHID AFRIDI BIOGRAPHY
source link(google.com)
Shahid Afridi ka naam Pakistan ke behtareen all rounder mein
aata hai. In ka poora naam Sahibzada Mohammad Shahid Khan Afridi hai aur 1
March 1980 ko Khyber Agency ke shehar Kohat mein paida huye. Shahid Afridi
shadi shudah hain, in ki 4 betiyan hain, aik ka naam Aqsa aur doosri ka Ansha
hai.
1996 mein cricket ki dunya mein qadam rakha. Shahid Khan Afridi ne is maidan mein qadam rakhte hi kamyabiyon aur kamraniyon ke naye baab raqam karna shuru kar diye. Afridi apni jarhana balee baazi ki badolat poori dunya mein pehchane jate hain aur isi badolat kayi record maslan sab se ziadah chakkon ka record, aur sab se behtareen stick rate ka record apne naam kar chukay hain.

Shahid Afridi ka 16 salah cricket career shandar records se bhara para hai. Inhon ne Nairobi mein Sri Lanka ke khelaf apne doosre hi one day mein sirf 37 gendon par dunya ki tez tareen century banane ka aizaaz hasil kia. Is match mein unhone ne Sanath Jayasuriya ka record tora tha aur Sanath Jayasuriya ke hi aik over mein 28 runs bhi banaye the. Is century mein 11 chakkay aur 6 chokay shamil the. Isi match mein inhein one day ki tareekh ke sab se kam umer (yani 16 saal aur 217 din) century score ka aizaaz bhi naseeb hua. 2005 mein inhon ne sirf 45 balls par India ke khelaf century banayi thi jo keh dunya ki doosri tez tareen century thi. Yeh innings dekh kar hi commentator Ravi Shastri ne pehli dafah inhein Boom Boom Afridi ka khetab dia.
Shahid Afridi ko aik ball par 12 runs bananay ka bhi aizaaz hai. Yeh aizaaz inhein power play cricket mein buland aur taweel tareen chakka marne ke bais Millennium Stadium mein naseeb hua. Vo do martabah 18 gendon mein aur do martabah 20 gendon mein bhi nisf century score kar chukay hain. Aik martabh vo sirf 21 balls mein bhi nisf senctury ban chukay hain. Abu Dhabi mein Shahid Afridi ne Malinga Bandara ke aik over mein 32 runs bana kar dunya ka doosra menhga tareen over khenle ka record apne naam kar lia. Aik rozah match ki tareekh mein Shahid Afridi tisray cricketer jinhein baik waqt 6000, 100 catches aur 250 wikets lene ka aizaz hasil hai.
No comments:
Post a Comment